Pair of Vintage Old School Fru


Romantic Shayari

Romantic Shayari

PAGE=9

Usne Kaha Kuchh Bhi Nahi
By : Gagan.. (Views : 603)

khamoshi mein shor tha ,maine soona bhi nahin
usne sab kuchh keh diya,lekin kaha kuchh bhi nahin

tujhko kya malum aye dost, tere bagair
mera jivan kat gaya,aur maine jiya kuchh bhi nahin

hukum yeh hum ko mila,uske siwa kuchh maangiye
uth gaye dast-e-dua lab pe kuchh bhi nahin

pyar se dekha mujhe jab bhi hai usne
dil dhadak utha mera,usne kaha kuchh bhi nahin

 

LABON PE AAJ
By : Gagan (Views : 718)

LABON PE AAJ UNKA NAAM AA GAYA,
PYAASE KE HAATH JAISE JAAM AA GAYA,
DOLE KADAM TO GIRA UNKI BAAHON ME JAAKAR,
AAJ HAMARA PEENA HI HAMARE KAAM AA GAYA.

 

Jo Mujh Ko Kisi Aur Ka Honay Nahin Deta
By : Gagan (Views : 621)

Roona Bhi Jo Chahain To Woh Ronay Nahin Deta
Woh Shaks To Palkain Bhi Bhigonay Nahin Deta

Woh Roz Rulaata Hay Hamaain Khuaab Main Aakar
Sona Bhi Chahain To Sonay Nahin Deta

Yeh Kis K Isharay Pay Umaad Aaye Hain Badal
Hay Kon Jo Barish Kabhi Honay Nahin Deta

Aata Hay Khayalon Main Merey Kaun Yeh Aksar
Jo Mujh Ko Kisi aur Ka Honay Nahin Deta

Is Dar Say K Tod Kay Aansoo Na Baahain
Bachoon Ko Mitti Kay Khiloonay Nahin Deta

Aik Shaks Hay Aaisa Meri Basti Main Abhi Tak
Jo Bojh Akelay Mujhey Dhonay Nahin Deta

Main Hun K Baahata Hoon Teri Yaad Main Aansoo
Tu Hey K Ashkoon Ko Piroonay Nahin Deta

Woh Chehra Ajab Hay Jisey Paakar Main Abhi Tak
Khoona Bhi Chahoon To Woh Khooney Nahin Deta

 

Mehsus
By : Gagan (Views : 600)

mehsus kiya maine tere ehsaason ko
in ehsaason ko likhne ki kya jaruraat hai
jo baat mehfil mein isharon se ho jaye
use kagaz par likhne ki kya jarurat hai

aap hain mehfil mein is tarah
jaise chand hai sitaron mein
hum to ho jate hai tanha appke bagair
chahe kitni bhi bheed ho bajaron mein

 

Shararat
By : Gagan (Views : 487)

shararat na hoti shikayat na hoti
nayano me kisi ke nazakat na hoti
na hoti bekarari na hote hum tanha
jo jahan me kambakht mahobat na hoti
na hote ye sapne ye khwabo ki duniya
kisi ko chahat ki tamanna na hoti
na zulfo ki chhaya na phoolo ki khushboo
yado me unki yu rate na kat ti
jo na hoti mahobat ye ansu na hote
dil bhi na khota aaj tanha na rota
majnu si apani ye halat na hoti
jo jaha me kambakht mahobat na hoti

EK RASM NIBHAANI HAI
By : Gagan (Views : 439)

SHABNAMI RAAT SUHAANI HAI, LAUT AAO!
EK GHAZAL TUM KO SUNAANI HAI, LAUT AAO!
PHIR NAYAA KHWAAB DEKHNA HAI SEHER HONE TAK,
PHIR NAYEE SHAMAA JALAANI HAI, LAUT AAO!
NAA MAIN BARBAAD HUA HOON, NAA RUSWAA TUM,
NAA-MUKAMMAL YE KAHAANI HAI, LAUT AAO!
TUM SE MIL KAR HI MAIN BICHHDUN, KOI LAAZIMI TO NAHI,
PHIR BHI EK RASHM NIBHAANI HAI, LAUT AAO.

 

JI CHAHTA HAI
By : Gagan (Views : 758)

NA MUSKURANE KO JI CHAHTA HAI,
NA AANSU BAHANE KO JI CHAHTA HAI,
TUMHARI YAAD MEIN AUR KYA KAHE,
BAS TUMHARE PAAS AANE KO JI CHAHATA HAI.

 

Na Chaho Kisi Ko Itna Ki Chahat
By : Gagan (Views : 935)

Na chaho kisi ko itna ki chahat aapki majburi ban
jaye,
chaho kisi ko itna aapka pyaar uske liye jaruri ban jaye.

 

Yaadon Ki Parchayee Mein Ab To Aaye Tera
By : Gagan (Views : 773)

Yaadon ki parchayee mein ab to aaye tera hi cehra
Tu abhi tak iss baat se hai anjaan main hoon deewana tera
Izhaar-e-mohabaat karne to bahot baar socha maine
Par har baar tere hi aks ne roka hai rastaa mera

 

Ikraar Mein Shabdon Ki Ehmiyat Nahi Hoti
By : Gagan (Views : 672)

Ikraar mein shabdon ki ehmiyat nahi hoti,
Dil ke jazbaat ki awaaz nahi hoti,
Aankhen bayaan kar deti hain dil ki daastan,
Mohabbat lafzon ki mohtaaz nahi hoti.

Aapko Miss Karna Roz Ki Baat Ho Gayi
By : Gagan (Views : 779)

Aapko miss karna roz ki baat ho gayi
Yaad karna aadat ki baat ho gayi
Door rehna kismat ki baat ho gayi
Aapko bhul jana
Humare bus ke bahar ki baat ho gayi

 

Khoobsoorat Ho Tum Kisi Phool Ki Tarah
By : Gagan (Views : 615)

Khoobsoorat ho tum kisi phool ki tarah,
Aankhein hain tumhari kisi hirni ki tarah,

Chahek hai tum mein kisi chidiya ki,
Mehek hai tum mein kisi gulaab ki,

Dua karte hain hum rab se sada,
Yun hi barkarar rahe hamesha tumhari har ada.

 

Purvaiyya
By : Gagan(Views : 1515)

padti barsaat ki boonde jab
khil jaata tan-mann foolon sa
behne lagti jab purvaiyya
mehke ghar-aangan upavan sa

gori balkhati chalti jab
daali foolon ki jhuk jaati
saajan ki baahon ke ghere mein
sapnon mein bichhadne lagti hoon

varsha ki boonde gore tan par
moti si chamakne lagti hain
alkhon se ghiri kaali aankhein
taaron si chamakne lagti hain

bheege kapdon mein simti woh
chhed jaati dil ke taaron ko
ghar-aangan gori saja rahe
mehkaye sada baharon ko.

 

Meri Zindagi Mein Sirf Tum Ho
By : Gagan.. (Views : 470)

subah-e-naseem mein
shaam ke dhundale mein
baarish ke baad
dhanak [rainbow]ke rangon mein
meri zindagi mein tum ho

sahil samunder par
maujon ke tughyaani mein
pursukoon lehron mein
gehre paaniyon mein
chaand ka aks
aur us mein ek chehra
mere tasawwur mein
meri zindagi mein tum ho

rawayat ke qafas mein qaid
sochun ke alkhat naqash mein
meri zindagi ke pasbaan
meri zindagi mein sirf tum ho.

 

Phir Milenge
By : Gagan (Views : 502)

Maine Poocha kaise ho
Badle Ho ya waise ho
Roop wohi Andaaz wohi
ya phir is mein koi kami

Hijr ka kuch ehsaas to hoga
koi tumhare pass to hoga
main Bichrri yeh majboori thi
kab manzoor mujhe Doori thi

saath Humara kab chhoota hai
Rooh ka Rishta kab Toota hai
Aankh se jo aansu Behte hain
Tum ko khabar hai kya kehte hain

maine kaha aawaz tumhari
aaj Bhi hai Humraaz Hamari
Phool wafa ke khil jayege
ek Din Phir Hum mil jayege

Janemann
By : Gagan(Views : 745)

guzarti jis dagar se tum,
mahak utthi charuaur fhizayein,
dekh kar madhmast tumko,
hai ghaane lagti tandi hawayein.

dekh gulaabi honth tumhare,
gulaab bhi hai sharmaye,
saamne teri yaouvan laali ke,
afthaab bhi hain muh chupaye.

chalti fhirti sach maano,
tajmahal ho tum janemann,
nehseer se likhi hui,
geetghazal ho tum janemann.

 

Shaam Chura Lu
By : Gagan(Views : 2876)

gazal mein bandishein alfhaaz hi nahi kaafi
jigar ka khoon bhi chahiye kuchh asar ke liye
tumhare deedaar ka mousam bada suhana lage mujhe
main ek shaam chura lu agar tuje bura na lage.

 

Tumhare Naam Karti Hoon
By : Gagan.. (Views : 818)

main apna aaj apna kal tumhare naam karti hu
main iss jeevan ka har pal tumhare naam karti hoon

mera guzra hua kal to mere mazi ka hissa hai
main apna aaj apna kal tumhare naam karti hoon

khizan,sardiyan,garmi,baharein,baarishein
main har mausam ka har pal tumhare naam karti hoon

tumhara dukh,udaasi,ghum sabhi ranj-o-alam lekar
main yeh khushiyon bhari chagal tumhare naam karti hoon

sitare aasmaan ke sab tumhare daman mein bhar kar
shab-e-tera ka sab kaajal tumhare naam karti hoon

tumhare bin yeh har ek pal mujhe bechain rakhta hai
main apna dil hai jo bekal tumhare naam karti hoon
barasta bhigta mausam hai kamzori meri lekin
main yeh saawan ,ghata,badal tumhare naam karti hoon.

 

Baandhe Rakhna
By : Gagan(Views : 680)

fir jab aaogi kal tum
waqt ko baandhe rakhe aana
baahon mein tujhe savaru main
ae waqt zara sambhal jaana

 

Gum Ne Hasne Na Diya
By : Gagan (Views : 1288)

Gum ne hasne na diya,
Zamane ne rone na diya,
Is uljhan ne hame jine na diya,
Thak ke jab sitaaro se panaah li,
Neend aayi to teri yaad ne sone na diya.


« Back
« Home
wWw.Bhangu.Xtgem.CoM
© 2010 ! Inc - All rights reserved
online counter